Thursday, April 18, 2013

Do Saal Ke Gunah Muaaf Kiye Jaatay Hain

Hazrat Abu Zar Ghaffari (Radiallahu'ta'ala'anhu) Bayan Kartay Hain Ke Huzoor Nabi Kareem (Salallahu'alay'he'wasallam) Ne Irshad Farmaya Ke Jo Shakhs Bhi JUMMA ke Din Mujh Par Do So (200 times) Martaba Durood Bhaijta Hai Us Ke Do So (200) Saal (years) Ke Gunah Bakhsh Diye Jaatay Hain.
[Kanzul Amal]

Monday, April 15, 2013

DUROOD E SHARIF KI FAZEELAT 1

HaDiThe SHariF' ♥ ♥ ♥ ♥ ♥ ♥ ♥ ♥ ♥
 HazRat Abu Dar'daa (radiallahu'ta' ­ala'anhu) Bayaan Kar'tay Hain Ke Huzoor Nabi Kareem (salallahu'alay ­'he'wasallam) Ne Farmaya : Jo Shakhs Subah Ke Waqt Mujh Par Das Mar'taba Durood Bhaijta Hai Aur Shaam Ke Waqt Das(10) Mar'taba Durood Bhaijta Hai To Qayaamat Ke ROZ meri Shafa'at Ka Haq'daar Tha'har'ta Hai " ( Majmoo'az Zawaa'id, Targhib o Tarheeb, Faizul Qadeer)

Tuesday, April 9, 2013

TAUBAH KA BAARAY MEI

Huzoor Nabi Kareem (salallahu'alay'he'wasallam) ne Farmaya :- Agar Tum Itni Khataayei Karo Ke Aasmaan Tak Pohanch Jaayei'n Phir Naadim Ho To ALLAH TA'ALA Tumhaari Taubaah Qubool Karay Ga. (IBNE MAJAH)

Monday, April 8, 2013

HARAAM RIZQ

Hazrat SyeduNa Ibne Abbas (radiallahu'ta'ala'anhu)ne IrShaad FarMaaya : " ALLAH(azwajal) US SHAKHS KI NEMAAZ QUBOOL NAHI KARTAA JIS KE PAIT MEI HARAAM GE'ZAA HO.. HazRat Syeduna Sahal Tustari Irshaad FarMaatay Hain : " Jo Shakhs ChaahTa Hai Ke Is Par Siddeqeen Ke Haalaat Zaahir Ho'n Woh Hamesha Halaal Wa Paak Khaana Khaayai Aur Sunnat Aur Zuroori KaamKe Ilaawa Kuch Na Karay" Ahya Ul Uloom ¤

MusalMaano K Huqooq

Sarkaare Madeena Suroore Qalb o Seena (salallahu'alay'he'wasallam) Ka Farmaan Ulfat Nishaan Hai " Tum Par MusalMaano Ke Chaar Huqooq Laazim Hai : 1) Naiki Karnay Waalay Ki MadadKaro 2) In Ke Gunahgaaro'n Ke Liye BakhShish Maango 3) Peeth PhairNay Waalay Ke Liye Duaa Maango Aur 4)Taubah Karnay Waalay Se Muhabbat Karo" (firdous ul Akhbar LiDailmi Baab alAlif Alhadees 1504,v 1, p 215)

Friday, April 5, 2013

Farmaanay Junaid Baghdadi

Hazrat Junaid Baghdaadi (noorullaha Marqaddahu) FarMaya KarTay Thay ke MujHay TamAam MaddAarij (DarJay) SiRf FaaqAh Kashi, Tarke DuNya Aur ShaB Be'Daari Se Haasil HuWay. (TAzkiRatUl AwLiya : ATTAR)

DUROOD SHARIF KI FAZEELAT JUMMA KE DIN

HaDiTh PaK
1)Hazrat Abu Amaama (radiallahu'ta' ­ala'anhu) riwaayat kartay Hain ke:- Rasoolallahu (salallahu'alay ­'he'wasallam) ne Irshad Farmayaa Ke Har Jumma Ke Din Mujh Par Kasrat Ke Saath Durood Bhejna Apnaa Ma'mool Banaa Lo Beshak Meri Ummat Ka Durood Har Roz Jumma Ke Roz Mujh Par Paish Kiya Jaata Hai Aur Meri Ummat Mei Se Jo Sab Se Zyaadah Durood Bhejnay Waala Hoga Woh (qayaamat ke roz ) Maqaame Manzilat Ke Aitebaar Se Meray Sab Se Zyaadah Qareeb Hogaa... (baihaqi: sunan ul qubraa 3:249)
(2) Hazrat Abu Huraira (radaiallahu'ta 'ala'anhu) Bayaan KarTay Hain Ke Huzoor Nabi Kareem (salallahu'alay 'he'wasallam) Ne Irshaad Farmaya ke :- Mujh Par Durood Bhaijna Pul Siraat Par NoorKa Kaam Dega Pas Jo Shakhs Jumaa Ke Din Par Asei (80) Martaba Durood BhaijTa Hai ALLAH TA'ALA Us Ke Asei (80) Saal Ke Gunaah Bakhsh Daitaa Hai" (MasNad Al Firdous,LisaaNu lmeezaan,FaizUl Qadeer)
3) HaZraT Ali Bin aBi TaaLib (radiallahu'ta' ala'anhu)RiWaayat KarTay HaiN Ke HuzOor NaBi KaReeM (salallahu alay he wasallam) Ne FarMaya : Jo ShAkhs JumA Ke Din MUjh PaR So MarTaba (100 times) DuRooD BhaiJta Hai Toh QaYaamat Ke Din Us Ke SaaTh Aik Aisaa NooR Hogaa Ke Agar iS NOOr Ko TaMaam MaKhLooq Mei TaQseEm KaR Diyaa JaaYai To WoH In SaB Ko KiFaaYat KaR JaaYai Ga. (Abu Nuyaim : HiLyaTul AwLiya )