Monday, May 27, 2013

GunahGaar Se Nahi Gunah Se NafrAt Karo


HazRat SyedUna Abu Dar'da (radiallahu'ta'ala'anhu) Aik Shakhs Ke Paas Se GuZray Jisay Log GuNaah Ki WaJah Se MalAamat Kar Rahay Thay. Aap (radiallahu'ta'ala'anhu) Ne FarMaya : " iS Baaray Mei TumHaari Kya Raaye Hai Ke Agar Tum Isay Ku'nway Mei Gira Huwa Paatay To Isay NikaalNay Ki Koshish Na Kar'tay? " Logu'n Ne Arz Ki :" Ji Haa'n, Aap (radiallahu'ta'ala'anhu) ne FarMaya :" Apnay Bhai Ko Gaaliya'n Na Do Bal'ke iS Baat Par ALLAH ki Hamd Bayaan Karo Ke Us Ne Tumhe iS Gunaah Se AaFiyat Bakhshi, "Unhu Ne Arz Ki:" Kya Aap (radiallahu'ta'ala'anhu) iS Ko Bura Nahi SamajTay? "Aap (radiallahu'ta'ala'anhu) Ne Farmaya"Mei iS Ke Amal Ko Bura SamajTa Hu'n Agar Yeh iSay Chodh De To Ye Mera Bhai Hai." (SHOEBUL EMAAN :BAIHAQi, hilYatUl Awliya)

Sunday, May 26, 2013

Tehreeran Durood Sharif Parhnay Ki Fazeelat


RASOOLALLAH (salallhu'alay'he'wasallam) Ne FarMaya :- Jo Shakhs MuJh Par TahReeran DurOod ShAriEf BhaiJay To Jab Tak Us KiTaab Mei MeRaa Naam Rahay Ga FariShtay MuSalSal Us Ke Liye BakHshish MaaNgtay Rahei Gei'n (AT TARGHEEB O TARHEEB V 1 PG NO : 111 )