Wednesday, July 3, 2013

Ramzaan ul Mubaarak Mei Paanch Tohfay Miltay Hain

HazRat Jaabir Bin Abdullah ( radιallaнυ'тa'ala'anнυ) Bayaan Kar'tay Hai'n Ke RasooLallah( şάĻάĻĻάħù'άĻάч'ħέ'ώά'şάĻĻάм) Ne Farmaya Ke Meri Ummat Ko Maahay Ramzan Mei Paanch Tohfay Milay Hai'n Jo is se Pahlay Kissi Nabi(alay'he'salaam) Ko Nahi Milay 1) Pehla Yeh Ke Jab Maahay Ramzaan Ki Pahli Raat Hoti Hai To ALLAH ta'ala in Ki Taraf Nazray iLtifaat Farmaata Hai aur Jis Par ALLAH TA'ALA Ki Nazar Padh Jayai , isay Kabhi Azaab Nahi Day Ga. 2) Doosra Yeh Ke Shaam Ke Waqt in Ke Mu'n Ki Bu ALLAH TA'ALA Ko Kas'toori Ki Khushboo Se Bhi Zyaadah Achi Lag'ti Hai. 3) Teesra Yeh Ke Farishtay Har Din Aur Raat In Ke Liye Bakh'shish Ki Dua Kar'tay Rehtay Hai'n. 4) Chotha Yeh Ke ALLAH ta'ala Apni Jannat Ko Hukum Daitay Huway Kehta Hai : Meray Bando Ke Liye Tayaari Kar Lay Aur Muzayan Ho Ja, Qareeb Hai Ke Woh Dunya Ki Thakaawat Se Meray Ghar Meray Daar'e Rehmat Mei Pohanch Kar Aaraam Haasil Karei". 5) Paanch'wei Yeh Ke Jab (ramza ki) Aakhri Raat Hoti Hai, in Sab Ko Bakhish Diya Jaata Hai. Aik Sahaabi Ne Arz Kiya : Kya Yeh Shab Qadr Ko Hota Hai? AAP ( şάĻάĻĻάħù'άĻάч'ħέ'ώά'şάĻĻάм ) Ne Farmaya : Nahi.. KYA Tum Nahi Jaantay Jab Mazdoor Kaam Se Faarig Ho'jaatay Hai'n Tab Un'he Mazdoori Di Jaati Hai?" (baihaqi : Shoebul emaan, Munzeri : Targheeb o tarheeb)

No comments:

Post a Comment